The Story of Chhotu k Memes..........................

Well once upon a time there was a boy, who's name was Chhotu .oops wait a minute. should i write this blog in hindi ??(kya Mujhe Hindi me likhna chahiye?) maybe yes.

       i'm gonna write this post in Hinglish Language. means Hindi in English ....

To chaliye suru karte hai ....sorry mera dialouge nhi hai par kya farak padta hai... story jarori hai.

To hamesha ki tarah ye bhi ek middle class family k ladke ki kahani hai , jo ki middle class walo ki tarah hi garibi rekha me aata hai . ha ha mai middle class ko madhyam vargiye bol sakta hu lekin tum log bhi itne pade likhe nhi ho ki mai tumhare liye itni aasan hindi likhu. To jyada faltu ki bate na karte huye apne mudde par laut aate hai.

 Lekin isse phle ye jan lo ki Chhotu ek nam nhi ye ek pahchan hai unke liye jo hamari tarah berojgar hai . Chhotu ki berojgari ne use majboor kar diya tha Memes bnane par. Chhotu din bhar social media platforms par din rat bakwas post dekh kar pareshan tha , To aksar wah comment box me gali deke apne gusse ko shant karta tha .

To uske dost khush hokar use sabasi dete the ,chhotu bahut jyada savage banda tha .

comment kar kar k usne sabke post ko meme me convert(badal) diya tha .

to ek din jab wah gau lauta to use usi ki tarah alag alag kalao me nipun kuch dost mile .joki usi ki tarah bakchod (Savage) the .

to berojgar to o sab lockdown k chalte ho hi gye the ab unki jindagi me bakchodi k alawa kuch bacha nhi tha .

             Ab suru hua memes bnane ka silsila , or chhotu jisko log kya bolenge se jhaat farak nhi padta tha tab usi k nam se memes bnane ka safar suru hua .

or phir kya tha ek k bad ek memes bnte chale gye or dhire dhire logo ko bhi pta chal gya ki chhotu kon hai.

to ab samajh gye ki chhotu sirf ek aadmi nhi hai ,chhotu ek group hai.

ek bakchod or Creative logo ka group...

to aaj k liye bahut hua jao instagram par or follow karo 

                 "CHHOTU_K_MEMES"

bakchodi will continued.......

wait for more post .

Comments

Popular posts from this blog